When the voice and the vision on the inside becomes more profound,clear and loud than the opinions on the outside,you have mastered your life

Wednesday, September 15, 2010

tribute to mumbai

SADIYON SE MAUN HOON MIEN KHADA
ANTARNAD KI AWAAZ AAJ TUM TAK PAHUNCHE
AAVASHAKTA HAIN AAN PADI
PANNE AAJ HAI JO TUMHARE ITIHAAS KE
THE WOH PANNE MERE ASTITIVA KE


SRAJAN HUA THA MERA
BADE ABHIMAAN SE
AA RAHA THA BRITISH SARKAR
KE RAJA AUR RANI
BADE SHAAN SE


JHOOM RAHI THI JAB YEH MAHAL,
GOONJ RAHI THI SADAKON PEIN NAARE
CHAARON ORE THA YEH SHOR
VANDE MATARAM,ANGREZ BHARAT CHODO VA KAI AUR

VAKTH BADLA,TAKTH BADLA
RAJ BADLA,TAJ BADLA
HUA YESH DESH HAMARA,RAJYA HAMARA,RAJ HAMARA

SAMAY KI NADI BEHTI GAYI
ZINDAGI NE RAFTAR PAKDI
NAYE BHARAT KI SHAAN HAI AB MUMBAI
YAHAAN REHTE HAR INSAAN KI JAAN HAI MUMBAI.

MUMBAI KI IS SAFAR MEIN
SAATHI HAI JO YEH KAMAAL
KAHAAN MILENGE LOG
AISE DHAMAAL

PEECHE MERE SAGAR KE LEHREN,
SAMNE HAIN JAWAN MUMBAI KE CHEHRE
RANGEEN CINEMA DIKHAYE SAPNE,
IN SAPNON KO LEKE BADE MASTI KE SAATH
COLLEGE KE YEH LADKE LADKIYAN APNE


SHAHR HAIN YEH KAAM KARNE WALON KA,
NA DIN NA RAAT JAANE YEH
PATRI PE CHALTI HAIN ROZ DIN
IS MAHAAN DESH KA KHARCHA SAMBHALTI HAIN

HAADSA JAB AISA KUCH HOTA HAIN,
RUK JAATI HAI ZINDAGI KI GATI,
SOHTA HOON MAIN PAL PAL
KYA HAIN YAHAAN KA ANEWALA KAL?

KYA MERE PANNON PE BAHEGA SIRF KHOON?
KYA AAJ KA YEH ASTITVA BANEGA IN BACHHON KA ITIHAS?
KYA YEH KLESH,YEH RAKHT,YEH BARBADI
BAN JAYEGI IN KI ZINDAGI KI SACHAI?